Bas yun hi chal rhe hain hum,
Log kahte hain kaise ji rhe hain hum,
Koi sabab toh nhi zinda rhne ka ,
Par saans aati hai toh ji rhe hain hum,
Aankhen hain nam aur jubaan khamosh ,
Kuch iss trah se ji rhe hain hum ,
Bohot dekh liya zindagi ka tamasha,
Ab maut ke intezaar mein ji rhe hain hum ,
Kuch iss tarah se zindagi ji rhe hain hum ,
Kab ke mar chuke hain,
Ab sanson ka lihaaj kar rhe hain hum ,
Bas yun hi chal rhe hain hum !!
