Tu kisi aur hi aasman se aayi thi
Tune koi aur hi kahani batayi thi
Tujhme wo mehak thi jo maine na pehle mehsoos kiya,
Tu kinhi aur hi sitaron se chamak layi thi
Teri wo maddham si aawaz
Tera wo mand mand muskurana
Tere nanhe se chand baliyan
Mujhko dekh sharmana
Tu boli thi main aaungi
Sitaron paar sang le jaungi
Par tu chup thi jab sara sheher aawazein lagata tha aur yahi gham mujhe khata tha
Ki tu boli thi main aaungi… par anjaam wahi tha jo pyar ka pyar se hai, sadiyon se yahi hota hai aur yahi hona tha
Ki tu boli thi main aaungi…. par maine khud ko samjhaya tha, wo to sitaron se aayi thi aur sitaron me hi use jana tha
Tujhse shikwa bhi karta to kaise karta!
Main to wo aansu tha jo poch diya gaya
Main to wo ehsaas tha jo bhula diya gaya
Main to wo taqdeer tha jo phooti thi
Main to wo manzil tha jahan ki sadak hi tooti thi
Main to wo shaam tha jahan nakami ki badal chayi thi
Main to wo qissa tha jahan pal pal ruswayi thi
Khair hata inn baaton ko, unn subah aur chand raaton ko
Tu bata tu kaisi hai? Tu badal gayi ya pehle jaisi hai!
-Rahul
