Wo baaliyaa..n mujhe pasand thi
Mile the hum pehlo Pehal jis ghadi
Kaano mein thi wo do baaliyaa..n padi
Wo baaliyaa..n mujhe pasand thi
dilli ki sardi subah ka wo waqt aur pehli mulaaqat
Metro Station Ke neeche ek masoom, Sehmi, pari jaisi tum
Main aur Meri car ke sath sath wahan sab kuch jaise tham sa gaya tha
Muskuraati huyi tumne jab "Hi" kaha ,maine kuch jawab nahin diya
main ab bhi ek-taq sirf tumhare chehre par Padi unn zulfo par nazar tikaaye tha
Yahin maine Unhe dekha.. Haan!
Ye wahi baaliyaa..n thi jinhone jaise sabko zinda kiya
Wo baaliyaa..n mujhe pasand thi
Youn to koi khaas rang mujhe pasand nahin hua karta tha
Par uss ghadi mujhe uss hare rang mein jaise kaaynaat dikh rahi thi
Uss kaaynaat ka shor-o-gul tham tham Ke keh raha tha
Wo baaliyaa.n mujhe pasand thi
© Rahul Abhua

