Jawani Mein Marna - Rahul Abhua
Jawani mein Marna khubsurat hota hoga
Main Jawani mein Marna chahta hu
Lambi Umr aur chand sapno Ka kya fayda, jab milna Hume iss mitti mein hi hai
Main iss mitti mein milna chahta hu..
Jawani mein Marna khubsurat hota hoga
Main Jawani mein Marna chahta hu.
Ishq mein Romeo hona tumhe Manzur hoga
Veer Bhagat Singh jaisa ishq main karna chahta h
Jawani mein Marna khubsurat hota hoga
Main Jawani mein Marna chahta hu.
Jee li hai zindagi maine apne hisse ki, Ab koi aur chahat nahin iss
Shoonya Se Lekhak, Actor, Director, Producer sab ho chuka, Ab phir se Shoonya hona chahta h
Jawani mein Marna khubsurat hota hoga
Main Jawani mein Marna chahta hu.
Husn ka sath Jawani tak, Jawani ka sath kuch saalo tak, aur phir budhap
Shayad yehi.. Shayad yehi wo budhapa hai jisse main bhaagna chahta h
Jawani mein Marna khubsurat hota hoga
Main Jawani mein Marna chahta hu.
Bohat bhaaga hu apni jimmedaariyo
Papa ke sapne, Maa Ki ichhaaye aur Dosto ke Pyaar s
Main Tum sabko ek aakhiri bar niraash karna chahta hu
Jawani mein Marna khubsurat hota hoga
Main Jawani mein Marna chahta hu.
- © Rahul Abhua

