Mujh ko maar ke jo main zinda hua hoon Khud hi apne qatl ke ilzam mein, phansa hua hoon Range hain hath khoon se kud ke apne hi jism se paida, ek shaitan hua hoon Shaql to ek si hai dono ki, par dilon ka farq hai Ak jo chaahta tha mohabbat, dooja nafraton ka ghar hai Maar ke khud ko maine dafna diya hai Aur khudi ka jism odhke ke, naya janm liya hai Ab jo zinda hai vo marta hi nahi, zinda ho ke bhi zinda nahi Kahta hai vo kahta bhi nahi, na hasta hai vo rota bhi nahi Hota hai par hota bhi nahi, Na jagta hai vo sota bhi nahi Vo dhundta hai bas us shaqs ko, jo mar gaya uske haaton tale Vo khada hai apni kabr pe, khud ke zinda hone ki arzoo liye
