Kaha hai pradhanmantri ne mat

Nikal ghar se bahar,

Le dubegi yeh bimari tumhe .

Dar dar ke ji rahi hai duniya,

Hifazat karo khud ki,

Na niklo ghar se bahar.

Haye bimari ya kahun yeh janta.


Bahar macha hai hahakar

Duniya puri lad rahi

Khud ki bachaane jaan.

Virus dekh has raha,

Aur kehte bacha sako toh bachalo

Apni jaan.

Haye yeh bimari ya kahun yeh janta.


Dande pade phir bhi na mane janta

Kiya Modiji ne suraksha ke lockdown ka

Ahvaahan.

Na kiya kisi ne iss ahvaahan ka paalan,

Marne lage deshavaasi unke,

Yah dekh ro pade pradhanmantri.

Haye bimari ya kahun yeh janta.