"Har rang ki dawa aur wo dawakhana, Mujhe yad kar raha hai koi maikhana." "Hain jab tak hosh mein kuch na samjheinge Do jam pilakar hume kuch samjhana."
"Har bar isi wade pe bulaye hai hume, Sare gum bhula kar tum chale jana." "Isi mashware se kare hai ruksat mujhe, Kabhi, bina kisi bahane ke bhi chale aana." "Gum ko pine aur muskurane, ka hunar, Yun hi milte rahe to,Bana dega mujhe wo diwana" @ Nitin kumar