kuch kisse,
jo haqiqat na ban sake,
in band aankhon mein wo,
khwaab ban gaye;
kuch rishte,
jo kabhi na jud sake,
zakhma dil ke wo,
daag ban gaye;
naaraaz hain mujhse,
sapne mere,
jo poore na hue,
wo raaz ban gaye;
kal tak jo,
pal the aane waale,
kal kal the,
aaj aaj ban gaye. . .