Sapno ka ek nagar, ek jhumta shehar
Samandar ki aagosh mai betaab ek lehar
Shehar yeh ameer hai, hai yahi gareeb
Bigdi hui taqdeerein hai fir bhi hai kareeb
Tapree ki cutting chai yaha din sawaar jaye
Khane ke hai shaukein yaha bas jayaka mil jaye
Bhel ho, shev puri ho, ho chahe Pani Puri
Vadapav samosa ya chahe ho kachori
Khushiyan yaha thaali mai saj ke mili hai
Yaha chat ki dukaan har dusri gali hai
Pareshaan si subah yaha har shaam bhi namkeen hai
Har udasi ko bhula de aaisi raatein bhi haseen hai
Fitoor hai marine ka, Juhu beach bhi haseen hai
Sanjay Gandhi National park yaha always evergreen hai
Gateway of India jaise koi aaftab
Bollywood ke sitaaron ka bhi aaya hai saylaab
Siddhivinayak se Haji Ali har Mandir masjid taj hai
Alag yaha rang, alag sabke mijaaz hai
Aur CSMT hai jiski shaan aaisi Mumbai meri jaan
Local trains - Mumbai ki lifeline
Seat k liye bhaagana is completely fine
Bandra Worli sea link ka bhi epic hai design
A favorite hangout place to take your valentine
Baarish aur Mumbai ki khaas jamti nahi hai
Pyaar hai dono mai fir bhi banti nahi hai
15 minute ki baarish mai pura shehar doob jayega
Train aur bus ka schedule bhi tham jayega
Gaddo ka ye shehar hai, hawa ke sang yaha behna hai
Local, barish, auto - taxi ka meetha sa dard sehna hai
Ab chahe jo kuch bhi ho jaye mujhe issi shehar mai rehna hai
Tyohaaron ka shehar hai ye, pyar ki dagar hai ye
Band aankhon se deedar kar, har zubaan ka ek ghar hai ye
Shehar hai koi khwab, sitaaron se naayaab
Gulshan ki ek daal, adhura sa khayal
Har roz har saal lekar khada sawaal
Log hai dildaar, iska alag hai khumaar
Ab karta hu izhaar, hai Mumbai tujhse pyaar
Tujhse he meri shaan,
Mumbai tu meri jaan....
Mumbai tu meri jaan....
Mumbai tu meri jaan....


