sochta hu kuch aur naya, kar dalu is din
likh daalu kuch aisa, alfaazo k bin
chehre ki chamak lu, ik kaagaz pe failau
muskurahat ki shyahi se, kuch aisa banau
Gehri aankhon ko uski mein, sheeshe me chupa k
julfo ko garmi me baadal sa dikhlau
kaagaz kahega ye kya kar dala
accha bhala tha mein, tabah kar dala
chupata aya hu sab raaz khud me ab tak
khoobsurti ka mujhko gawah kar dala
aukaat kya thi teri, koi kaagaz se pucho
umar kitni thi iski, is paagal se pucho
ik chehre ne tujhko nayab kar diya
varna naav ban k dub hi jana tha, baraste baadal se pucho
socha samjha, kaagaz fir bol utha us din
kitaabon me sirf palte jaate hain panne gin gin
ab tak jo na thi ehmiyat meri
meri kismat mein likh di, aaj alfaazo k bin


