Din tyohaar pe aa jate hain Unke khayal Jo na dekhe apni ankhon se yaadon se wo manzar dikha jate hain Unke khayal
Achanak zyada bolne aur hansne lagte hain hum Hawa mein aisa kya mila jate hain unke khayal
Ek ajeeb si udasi ki chadar mein lapete jate hain Charon taraf kuch buna jata hai Saans lene ko shat.pata jate hain Jaise char deewari pe tala laga jate hain Unke khayal
Mann bhar bhar aata hai Siskiyan si lena chahta hai Chalte chalte kya ho jata hai ise Sabke sath ho ke ajeeb akelapan Dum sa ghutne lagta hai Aisa kaun sa zehar pila jate hain Unke khayal


