Zamaana kahaa.n ka kahaa.n ho gaya hai
Achaanak sabhi kuch dhuaa.n ho gaya hai!
Haqeeqat me sab daastaa.n ho gaya hai
Bazaahir tha jo ab nihaa.n ho gaya hai
Pada Aks-e-mahtaab chhat pe hamare
Tera roop usme ayaa.n ho gaya hai
Sabhi ko samajhne laga hun main dushman
Na jane mujhe kya gumaa.n ho gaya hai!
Har ik call lagta hai tumne kiya hai
Dil-e-muntazir badgumaa.n ho gaya hai
Mili thi muhabbat mujhe raaste me
Kaha mujhse 'Affy' jawaa.n ho gaya hai!
