humare muh m balki sabke
muh m pani aajata hai.
mithia ka name lete hi
kiska man nhi lalchata h
bachon se leke jawan tak
or jawan se leke budon tak
har koi mithas ka shaukeen
hota hai.
phr bhala m kese is mithas
bhati duniya se door reh
paunga. yahn ke log yahn
ke toiyarh har tarah ke
log yahn apke swagat ke
liye taiyar h..
alag alag parivesh m dhale
alag alag jati ke log
chahe koi bhi ho
hindu, Muslim, sikh
ya isai sab ek hokar
taiyuhar ka aanand
lete hai. na koi
sarhad na koi
seema door door
tak bus roshni hi
roshni.
puri duniya jaise
Deepak ki roshni
m naha rhi ho.
hathon m pooja
ka thal liye ma, behan
ya koi bhi ho.
utsha se ma laxmi
ki puja karne ke
liye baichan rehti
hai. har tarah ki
veshbhusha tarah
tarah ke abhusahan
mano unki sundarta
m char chand laga rhe ho.
wo ghar ke bahar gay ke
gobar ki mehak , rango ko
apne hathon se alag alag
roop m dhalna rangon
ko alag alag dhancon
m dhalna ye kala
bhi anokhi hoti
hai. ghar ki saf
safai or phir
nanhe nanhe
bachon ki choti
choti ankhen
baichani se
uphar ka
intejar krti
hai.
ye sab hota hai
mere or hum sabke
apne bharat m.
ji han doston
m bharat desh
ki bat kr rha hu.
jahan alag alag
utsav ke liye
alag alag khushi
hoti hai.
khshiyan kisi
ka intejar nhi
karti.
phr chahe wo
15 August ho
26 January
holi ya phir
diwali. har
utsav ka apna
hi maja hota hai
apna hi sama hota hai.
or ye mujhe halanki
mujhe hi nhi hum sabko
ek bandhan m bandh ke
rakhta hai.ye bharat hai
kabhi kisi ko udas nhi karta
hai..
.
" jo sabko jod kr rakhe
jo sabko ek tar se jod kar
rakhe.
jo sabke khushi m khush
ho dhukh m dhukhi.
Han ye humara desh h
jahn har toiyarh ki
ek alag hi mithas
hoti hai,
ek alag hi
lehja hota hai"
"india is very colourful
country.."
chahe ghum lo
puri duniya..
