• Ek Tarafa Ishq • ( kaif Saifi )
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
Pahle-pahal jab bo ruubaruu aaye to aankhein padi gain
Baad-e-ishq zulfen sabari, unpe nazmein padi gain
Ek tarfa Ishq tha mera , so unko khabar hi kya
Unke liye Qaseede likhe gaye , ghazlein padi gain
Tumko bhulane ki jab koi surat-e-hall na rahi
Phir Mujhpe dam kiye gye , aayatein padi gain
Ishq hai khuda ko pasand, Jo humne kiya to phir
Humpe fatwe lagaye gaye, tareerein padi gain
Aalam-e-ishq to ye hai ki laye umar imaan jab
Sar-e-aam Khutbe sune gaye , namazein padi gain
- Kaif Saifi

