humara koi aur bhi apna hona chahiye tha
hame itna to chaal-baaz hona chahiye tha
tumne Diye bichhadne ke hazar moke
kisi ek par to hame kayam hona chahiye tha
is ghutan mei Dam ghut raha hai mera
is haal mei use mere pass hona chahiye tha
itna to ta'àluq ban gaya tha humara yaar
meri taqleefon ka use ahsas hona chahiye tha
ibn-e-aadam ki banai duniya hai itni be-wafa
yahan sabko sabse wafadaar hona chahiye tha
nahi vo sakhs mere hisse mei to na sahi khuda
kuch aanshuon ka mere mol hona chahiye tha
agar sunana ho haal-e-dil apna use 'kaif'
tumko uska pasandeeda sakhs hona chahiye tha
--- kaif Saifi

