Dill me tha dard to wo dar mitane ke liye
Teri tasveer nikaali hai jalane ke liye
Mat jata pyaar ye ab hamse dikhewe wala
Tere aansu hai faqat sabko dikhane ke liye
Mere yaaro se to kuch meri madad ho na saki
kaam ciggaret se liya yaad bhulaane ke liye
Kaha tabeeb ne aala laga ke seene pe
Murda dill laye ho elaaj karane ke liye
Is liye meri fugha arsh tak nahi jaati
Mujhko ibrat bana diya hai zamane ke liye
Shah socha ke bhula du pa bhulaya na gaya
Mout ek shart zaroori hai bhulane ke liye
Mirza Shah Abbas
