Sunsaan si raahe,
Door tak na koi,
Na dosti,
Na dushmani,
Kuch bhi nahi,
Maalum hai is raah par,
Tanhaaiyan mere saath hai,
Marta nahi,
Koi yaha,
Kisi ke bina ye jaan lo,
Khudgarz hai,
Rishtey sabhi,
Awwal khuda kii,
Zaat h,
Mera yakeen uspar,
Jo hai,
Hamesha wo bhi,
Mere saath hai....
Ilzaam khud na lo kabhi,
Jo hona hai,
Ho jayega,
Mukaddar ki ye
Saari baat hai......


