Jaise asman me gumta dhumketu,

Sansar main gumta fakir hai tu,

Kaisa vyakul man hai tu.


Samundar ki uth ti lahero jaisa,

Jvalabhat k bulbulo jaisa,

Kaisa vyakul man hai tu.


Kabhi asman main udte parindo jaisa,

Gote lagate machvaro jaisa,

Kaisa vyakul man hai tu.


Sahme hue sur man ki vednao jaise

Har pal uthe dhvani tarango jaise

Kaisa vyakul man hai tu


Jatil hai teri bate agniban sa vignan hai tu

Kabhi pargrahiyo k sampark ka farman hai tu

Kaisa vyakul man hai tu


Sansar ki mayajal se ulajta hathiyar hai tu

Mere har acche bure karmo ki ginti rakhta mera yar hai tu

Kaisa vyakul man hai tu


Prakash ki gati jaisa tej tarar hai tu

Kuch paristhitiyo ke samne itna hi lachar hai tu

Kaisa vyakul man hai tu


Khud ko hi samjata khudko hi manata

Har pal har vaqt chalti meri ak parchai hai tu

Kaisa vyakul man hai tu


Samundar si gaherai hai tujme

Himalay jaisa adig hai tu

Kaisa vyakul man hai tu



Tu hi sidha marg hai parbhrahm ko milne ka

Gati shunya hu mati shunya hu tuj bin, mere astitva ka sar hai tu

Kaisa vyakul man hai tu