Ikkees Dinn Ke Lockdown Ne Jeevan Ka Mahatv Samjhaya Hai
Kaam Career Toh Hamesha Hi Tha, Par Jeevan Vyateet Krna Corona Se Samjh Aaya Hai
Tu Akela Hai Kyunki Ek Doosre Insaan Se Mohabbat Na Kar Saka
Aaj Ghar Par Akele Hokar Shayad Ek Insaan Ko Insaan Ki Kadr Krna Aaya Hai
Ghar Mein Band Hokar Shayad Tujhe Zoo Ke Pashu-Pakshiyon Ka Khayaal Aaya Hai
Har Cheez Ki Ati Dekh Shayad Dharti Ma Ne Ye Kadam Uthaya Hai
Bhoomi, Jal Aur Vaayu Ko Tu Hi Pradushit Kar Paaya Hai
Himalaya Kya, Tune Toh Antariksh Mein Bhi Kachra Failaya Hai
Stri Ko Paida Hone Se Marne Tak Tune Sirf Tadpaya Hai
Isliye Gandhari Ne Aankhon Par Patti Aur Seeta Ma Ne Dharti Mein Samana Behtar Option Paaya Hai
Parmeshwar Ne Ped-Paudhon, Phalon Aur Parvat-Nadiyon Se Iss Dhara Ko Sajaya Hai
Par Akela Tu Praani Hi Hai Jisne Usey Bhi Nasht Krke Dikhaya Hai
Moorti Mein Ishwar Maana Magar Apne Jaise Jeev-Jantu Ko Tune Apna Bhojan Banaya Hai
Ek Insaan Ki Galti Se Saara Jeevan Sanqat Mein Aaya Hai,
Saara Jeevan Sanqat Mein Aaya Hai


