sardi dhoop aasmaan makaan
mujhse sabhi magar hai anjaan
samay chal raha hai
thehre hue to hai bus
ye sardi ye dhoop ye aasmaan ye makaan
jahan dekho saare khamosh hai
awaazein aa rahi hai auron ki
magar nahi bolte kabhi
ye sardi ye dhoop ye aasmaan ye makaan
madadgaar hai ye insaano ke
main manta hu bilkul ye
magar jab insaniyat hoti hai sharmsaar
chup rehte hai bus
ye sardi ye dhoop ye aasmaan ye makaan
