itne kabutar aasamaan me
ud rahe idhar udhar
dekha to laga pata nahi
ye chahe jana kidhar
inki pankhon ki saay saay
abhi abhi sunai di mujhe
bus ek pal aur khatam aawaaz
aur khatam mano sbhi kabutar
dekha to aasmaan khali
vahi neela vahi shoonya sa
paaye khud ko itna akela
jaise ek kashti aur athah samandar
