Usey ishq ke marne ka khauf kya hoga bhala,

Woh toh roz dard ki doli utha kar chalta hai...


Uski aankhon mein kayin barbaad bastiyon ke manzar hain,

Wo apne andar ek poora kabristan rakhta hai,


Aur usko na sikhao saleeqa-e-mohabbat ae paagal,

Wo ladka Nusrat ko sunta hai, wo Jaun ko padhta hai!