Ungli pakad kar jo humein,
Chalna sikhata hai.
Kandhe par baitha kar,
Poori duniya ghumata hai.
Sone se phle jo,
Sar par hath phirata h.
Raat ke sannate mai jo,
Lori ga kar sunata hai.
Aansu ke sahare jeete huye bhi,
Jo humare jahaan mai khushiyan bharta hai.
Din raat mehnat kar jo,
Humare liye kamata hai.
Khud na so kar jo,
Humein Chen ki nind sulata hai.
Humare aansu poch kar jo,
Khud gam ki aandhi me kho jata hai.
Apni eddi ghees kar vo,
Humein padhata hai.
Khud bhukha reh kar vo,
Humein khilata hai.
Zindagi par jo humein,
Bharosa karna sikhata hai.
Khud se uncha naam,
Kamana batata hai.
Vhi to PITA ke naam se Jana jata hai.
