दस्त-ए-कातिल के मुस्तहिक़ रहे कौन थे?*
आवाज़ उठाने वाले, या जो रहे मौन थे?
हम सदियों से सहते रहे ज़ुल्म-ए-कातिल,
हम जैसे मौन इस जहाँ में कौन थे?
अब बेड़िया तोड़ निकले हैं हम बाजार में।
जो बात हमारी आवाज़ में है, ना किसी हथियार में।
जो हमें देते थे चुप रहने की हिदायत,
सिसकियाँ भर रहे हैं बैठे कोप-द्वार में।
बहुतेरे फिरंगी भी नाराज़ हैं हम से,
ना सुलह कर पाएं हैं वो इस ग़म से,
कि जो सदियों करते रहे उनकी गुलामी,
कैसे बोल रहे हैं उनसे इस दम से।
टूटें हैं पुराने हुक्मरानों के सपने,
कुछ हमवतन भी इस से लगे हैं तपने,
कि हम आज़ाद हैं अब सदियों के बाद,
गुलाम नहीं, हम मालिक हैं अपने।
पर,
ना दूसरों की तरह बर्बाद हैं हम,
कातिलाना नहीं, ना जल्लाद हैं हम,
फरसा हाथ में है, हमारे पर,
संस्कारी पूर्वजों की औलाद हैं हम।
किशोर अस्थाना
kishore.asthana@gmail.com
__________________
Azaad haiN hum
Dast-e-qaatil ke mustahiq rahe kaun thay
Awaaz uthaney wale ya jo rahe maun thay?
Ham sadiyoN se sehte rahe zul’m e katil
Ham jaise maun is jahaN mein kaun thay?
Ab bediyaN tod, nikle haiN ham bazaar meiN
Jo baat hamari awaaz meiN hai, na kisi hathiyar mein
Jo hameN dete they chup rehne ki hidayat
SiskiyaN bhar rahe haiN baithe kop-dwaar mein
Bahutere firangi bhi naraaz haiN humse
Na sulah kar paayen haiN wo is gum se
Ki jo saa ri zindagi karte rahe gulami
Kaise bol raheN hain unsay is dum se
Toote haiN purane hukumrahoN ke sapne
Kuchh hamwatan bhi is se lage haiN tapne
Ki Ham azaad hai, sadiyoN ke baad
Gulam nahiN, ab malik haiN hum apne
Na doosroN ki tarah barbaad haiN hum
Katilana nahiN, na jallad haiN hum
Farsa haath mein hai hamare, par,
Sanskari poorvajoN ki aulad hain Hum
Kishore Asthana
kishore.asthana@gmail.com
*Dast-e-qaatil ke mustahiq rahe kaun thay: Who were deserving of the executioner’s hand?
