ḳhalish-o-soz dil-figār hī dī dil meñ shamshīr āb-dār hī dī bevafā se muāmle ke liye ik tabī.at vafā-shi.ār hī dī kaifiyat dil kī byaan karne ko ek āvāz dil-figār hī dī ḳhaar ko to zabān-e-gul baḳhshī gul ko lekin zabān-e-ḳhār hī dī dil shab-e-zinda-dār ham ko diyā husn ko chashm-e-pur-ḳhumār hī dī ḳhud raqīboñ ke vāste maiñ ne zulf ma.ashūq kī sañvār hī dī kyā nasheb-o-farāz thī 'tanvīr' zindagī aap ne guzār hī dī