Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale Chale bhi aao gulshan ka kaarobaar chale Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikr-e-yaar chale Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale Maqaam Faiz koi raah mein jancha hi nahin Jo ku-e-yaar se nikle to su-e-daar chale