be-mahal hai guftugū haiñ be-asar ash.ār abhī zindagī be-lutf hai nā-puḳhta haiñ afkār abhī pūchhte rahte haiñ ġhairoñ se abhī tak merā haal aap tak pahuñche nahīñ shāyad mire ash.ār abhī zindagī guzrī abhī is aag ke girdāb meñ dil se kyuuñ jaane lagī hirs-lab-o-ruḳhsār abhī haañ ye sach hai sar-ba-sar kho.e ga.e haiñ aql-o-hosh dil meñ dhaḌkan hai abhī dil to hai ḳhud-muḳhtār abhī kyuuñ na kar luuñ aur abhī sair-e-bahār-e-lāla-zār maiñ nahīñ mahsūs kartā huuñ nahīf-o-zār abhī