Dil se yaado ka kafila hatata nahi Toofan ke jaroke jaisi yaadein aati aur dil se dimag tak bikhar jati Soch kar kai sawal uffan aate Kya zindagi issi ka naam hai? Kyo log yeh samajne me asamarth hai ki khaali hath aaye the aur khali hath jana bhi hai Kya yeh samajna itna mushkil hai ki jis sharir par aaj tumhe gamand hai vo to iss layak bhi nahi rahega ki shamshan tak khud pauch sake...eh dost tab bhi tumhe unn logo ka sahara chahiye hoga jinse tumne zindagi bhar acche rishte nibhaye Aaj shayad iss chaka chaund bhari duniya me pyar ki keemat na samaj sako Par pyar me vo shakti hai jo kisi ke chale jane baad bhi ander se janjhor deti hai Aaj Jhoothe Vade to puri duniya karti hai dost! Par humesha jisse tum apne pas khada paoge din ho ya raat Jo  har waqt par tumhara hath thame sath khada rehega vo sirf tumhara jeevansathi hoga! Written by-: Karishma Sanjeev Mehrotra