Humein baat karni chahiye
Neend bahut ukhdi ukhdi si aati hai
Soch wahin le jaati hai, Jahan puri tarah tum mere ho
Koi baat kabhi hui na ho jaise
Kaunsi aisi baat ho gayi hai ?
....
Humein baat karni chahiye
Aankh fir bhar gayi sochte sochte
Yeh Roz ka ho gaya hai
Ab kuch siskiyan dab jayengi, kuch nahi dab payengi
Unhein umeed hogi k unhein sunke tum shayad
Uth jaoge !
Tum gale lagaoge !
Tum baat karoge !
Tum chup karaoge !
Par aisa kuch nahi hoga !
mujhe is baat se bahut dar lag raha hai !
....
Humein baat karni chahiye
Subah hogi, ek bindi mathe par sajegi
Kaise tum dur sofe par baithe bata dete the ki "theek lagi hai ekdum"
Yeh aaina itna waqt leta hai...
par woh baat nahi aati
Tum saath khade hoke taiyaar hote ho
Fir tumhari yaad kyun aati hai ?
...
Humein baat karni chahiye !
Mere naam ki lai bhule bhule se lagte ho
Besura sa naam jab lete ho
Aisa lagta hai bulane ka man nahi tha tumhara
Aakhri seedi utarne tak ghar ki, tumse baat karna hota tha
Ab mujhe hamesha utarne ki jaldi kyun rehti hai ?
Humein baat karni chahiye..
Kamra samet te - samet te sare din ka haal batana hota tha
Mujhe yeh kamra ab saaf hi kyun lagta hai ?
....
Humein baat karni chahiye
Khana ek hi table par khate hai
Khamoshi mein bs chamach aur platon ko takrate sunte hai
Galti se aankh milne par, wo jo tum zara sa haste ho na
Wo hasa na karo !
Wo khushk si hasi , taras bhari lagti hai
Rone jaisa kyun ho jaata hai ?
Humein baat karni chahiye.
Samay guzar raha hai
Par mehsus kuch nai ho raha
Humein baat kar hi leni chahiye
K abhi to main karvaton ki ginti rakh hi leti hu
Aisa na ho main kisi din neend ko tavajoh de dun
Humein baat karni chahiye
