Bina aasu aur awaj ke Jo rota hai
Wo baap hota hai
Bachhe ki khushiyo me ,
Jo apni khusi dekhta hai
Jo aakho me liye khud ke ,
adhure khwab hota hai
Wo baap hota hai
Maa 9 mahine pet me palati hai ,
Jo 9 mahine dimag me palata hai
Wo baap hota hai
Jo parivar ki ikshao ke liye ,
Apni ikshao Ka tyag krta hai
Jo Bina btaye , bina dikhaye
khud se jyada pyar krata hai
Jo upar se kathor ,
andar se Komal hota hai
Jo Apne baniyan ke ched se ,
Apne parivar Ka tan dhakata hai
Wo baap hota hai
- आdarsh ❤️
