khwahishon ke saanyein liye aankhon mein
Sitaaron se lad pade hum baaton baaton mein
Kya sabab hai iss junoon ka humein kya pata
Kaise milti rahi ju.raten humko malaalon mein
Ruk jaane ki fitrat nahi, mud jaane ki aadat nahi
Sukoon safar ka hai humko vahashaton mein
Aaqibat ruthi hai aghaaz se maa’lum hai hume
Yaari humne bhi nahi dhundhi aaqibaton mein
Sukut-e-shab mein unko pehchaan nahi pata
Shaqlen jo saaf nazar aati hai betabiyon mein
Koi fariyaad ho bhi to ab zabaan tak nahi aati
Kho jaati hai kahin umeed ke sailaabon mein


