Haan Mai Ek Aazad Parinda Hoon..
Haan Mai Ek Aazad
Parinda Hoon....
Jisne Videshiyon Ko
Hamare Desh
Mein Aakr
Kabza Karte Dekha
Hai..
Aaye Vyapaari
Bankar...
Magar
Dheere - Dheere
unhein
Hamare Desh Ko
Apna
Ghulam Kehte
Dekha Hai..
Rani - Laxmi Bai
Jaisi Or Bhi
Naa- Jaane Kitni
Veeranganaon
Ne
Ek Aham Bhoomika
Nibhayi
Hogi
Fir Bhi Un Benaam
Yoddhaon
Ka Naam Itihaas Mein
likhne Ki
Zehmat Shayad Hi
Kisi Ne Uthayi Hogi..
Khaadi Kurta
Aur
Swadeshi Charkha..
Itna Zaruri
Ho Jayega Kisi Ne
Socha
Na Tha
Ek
Chhoti Si Aazadi
Ki
Chingaari Se
Itna Bada...
Swatantrata
Sangram
Chhid Jayega
Maloom Na Tha..
Aazadi Ka Jashn
Aaj
Pura Hindustan
Manayega...
Lekin Asal
Mein Aazadi Ke
Mayne
Kya Hain
Ye Koi Nahi
Batayega
To Chaliye Aaj
Mai
Aapko Apni
Aazadi Ki
Paribhashayein
Bataunga
Haan !!
Mai
Ek Aazad
Parinda Hoon
Haan !!
Mai
Ek Aazad
Parinda Hoon
Mana Samaj
Mein
Rudi - Vaadi
Prathaon
Se
Bandha Hoon
Patangon Sa
Gagan
Mein
Udna Bhi
Chahta Hoon
Magar Fir...
Apni
Seemayein
Bhool Jaane
Se Bhi
Darta Hoon
Mai
Swatantrata
Bhi
Chahta Hoon
Magar...
Zameen Ko.
Chorna Nahi
Pasand
Karunga ...
Aasaman Ke
Saare
Chamakte Taare
Tod Lana
Chahta Hoon..
Magar..
Khudko Bigadna
Nahi
Pasand Karunga..
Mai Patang Ki
Vo Dor
Banna
Chahta Hoon
Jo Aazad To Hai..
Magar
Khud Ki Hifazat
Ke Liye
Kisi Bade Ki
Salah
Zaroor Lunga..
Khud Chahe
Kitna
Bhi Umardaraz
Kyu
Na Ho jaun
Par Apne
Maa - Baap
Ke Liye
Chhota Sa
Shehzada Hi
Rahunga..
Haan !!
Mai Ek
Aazad
Parinda Hoon..
Aazadi Ki To
Anekon
Paribhashayein
Ho Skti
Hain..
To Chaliye
Jaante Hain
Ladko
Ki Nazar Se
Unki
Aazadi
Ki Paribhasha
Ko..
Bahar Jana
Mere Liye
Bahut Aasan
Hai
Maano Ye Mere
Liye
Chutkiyon Ka
Kaam Ho..
Mai Ghar Se
Bahar
Kadam To Nikal
Sakta Hoon...
Magar kya Bharosa
Ki Vahan
Mai Mehfooz
Hoon Bhi
Ya Nhi??
Mujhe Har
Vo Kaam
Karne Ki Ijazat
Hai
Jiske Shayad
Mai Kaabil
Hi Nahi...
Zimmedariyon Ke
Bojh Ke Tale
Kuch Is Tarah
Daba
Diya Jaata Hoon
Jahan Mai
Khudki
Muskan Aur Wajood
Tak Bhool
Jaata Hoon..
Haan !!
Mai Ek
Aazad Parinda
Hoon.. Haan !!
Jo Khulkar Ro
Bhi Nahi
Sakta Hoon..
Khulkar
Apne Vichar
Tak
Vyakt Nahi Kar
Sakta Hoon..
Kabhi Aisa Karna
Bhi Chahoon
To Ye Samaj
Mujhe Ye Kehkar
Sharminda
Karata Hai
ki..
" Oye Ladki Hai kya !
Jo itni si Baat Ko Leke
Baitha Hai ?? "
Ab Mai Unhein
Kaise Yakeen Dilaun
