Aj fir in aankho mai ik dard sa nazar aya,

Na jaane kis baat ko lekar aansu palko tak aya;

Aankhein bhi bol jati hai kuch ankahi baat,

Agar maan paye ho apna to keh do dil ke saare jazbaat;

Hai suna bin kuch kahe, keh jane ke tarike aur bhi hai,

Aur DARD ko bayan karne ke tarike aur bhi hai;

 

With Love,

Hitesh Valecha