Mere dil ki aatish ki garmi ko, tum kya jaanoge,
Tumhe thandak si jo mil gayi mujhe chhodkar.
Iss gulam dil par huye zulm ko, tum kya samjhoge,
Tumhe aazaadi jo mil gyi dil mera todkar.
Mere seene ke gehre zakhm ko, tum kya dekhoge,
Chehra jo chhupa liya, bedard chadar odhkar.
Nhi milengi vo raatein, aur vo aankhon ki baatein,
jitni bhi koshish kar lo, raaho'n ko modkar.
Jab todta hai dil koi, tab jaan jati hai,
Dekha hai maine ek-ek tukde ko jodkar.