Zindgi ki chunotiyo ko mai has ke paar lagauga,
asha ki ek kiran se mai nirasha ko harauga,
mai ek baar phir muskurauga.
Samay vepreet hai aabhi, par mai iss se lad kar jeet aauga,
Aandhkar ki aandhi mai hosle ka deep jalauga,
mai ek baar phir muskurauga.
Mushkil halato se jo faile hai nirasha ke badal,
mai uss badal ke pani se aapna bhavishya seech jauga,
mai ek baar phir muskurauga.
Jeewan ki galtiyo se seekh, mai aapni manzil khud banauga,
zindgi tere imtahan mai, mai aaval number lauga,
Aye zindgi mai ek.baar phir muskirauga
- GJ


