
Kamyaab hoon, haan apni duniya khoob sajayi hai maine
Vo alag baat hai, zameer se rishta purana raha hai mera
____
Patte juda shaakh se kuch yun huye
Jaise koi apne ghar se beghar hua ho
____
Khwaabon ne dum tod diya, neend ab qabr mein hai
Zindagi ki haisiyat hi kya hai maut ke is gaanv mein
____
Main jo kah bhi na paaya, vo hi main hoon
Ankhon ne jo kaha, honton ne suna to hoga
____
Qadr karte to ahsaas-e-kami se pooch bhi sakte thhe
Vo jo qareeb tha dil ke kabhi, sirf ek yaad bana kaise
____
Jo khwaab, azaab bun jaayen, unhe bhoolna achcha
Maqaam-e-zindagi mein manzilen nayi talaash kar
____
Jab bhi main tanha sa hua hoon
Tab hi main mukammal hua hoon
____
Tum ko badal paoon, aisi himaqat se do chaar nahin main
Unsiyat na sahi, dosti to shayad nibha hi sakta hoon main
____
Main safar mein hoon, kahin door chala jaoonga
Yaad rakhna meri baat, main yaad bohot aoonga
____
Aansuon se keh do, tum sailaab hi kyun na bun jao
Main vo samandar hoon, jahan toofan