1)
Intiha ki intiha kya hoti hai
Beniyaz si hava aandhi kab banti hai
2)
Yun hi koi zyaadti par amaada nahin hota
Har jurrat ke peeche koi vajah hoti hai
3)
Kaanton mein lipta ye bebahra sa waqt
Lahooluhaan umeeden, bechara sa waqt
4)
Apne mustaqbil ki jung mein mashghool hum,
Chalo kisi ke ghum ki aahat ko sunte chalen
5)
Aankhon mein jo tere ye bebas sa vaham hai,
Sachchai hai duniya ki, ye darr hi to haafiz hai
6)
Khanjar ki nok par sambhali hai zindagi
Saansen gavaah hain khauf ke inteha ki
7)
Aankhon mein gham ka sarmaya sahi, dil mein khwaab ki gunjaish bhi rakh
Saansen kai baar thami hain teri, Marr ke phir jeene ki khwahish bhi rakh
8)
Fasaana hai puraana,
Ahmaq hai jab zamaana
Kaaghaz ki kashti mein
Ho jaao phir ravaana
9)
Jhooth ki chalni mein khazana mila
Retile kankaron ko chalo sone ke bhaav bechte hain
10)
Ye kya kum hai ki zinda ho tum
Rooh mein jaan hai, ab bhi imaan par ho tum
11)
Ye Jaan to aani jaani hai
Kahin ret, to kahin paani hai
Ghutno ke bal chalne par jo amaada hain
Samajh lo khatm unki kahaani hai
12)
सब्र का पैमाना लबरेज़ हुआ
अब जो भी होगा बुरा होगा
13)
Qahar ye kaisa naazil hua hai,
Aankhon se neend khafa hai,
Khwaab tadap rahe hain,
Bus unka marna baaqi hai
14)
Baadlon ke pankh pakad ke
Chal ud jaate hain vahaan
Jahan khuli hava par pahra na ho
15)
Fiza mein zaher ki miqdaar kuch badhi hai
Farq bus itna hai, ye zeher achcha hai
16)
Bezaar hai haq pasandon ka junoon
Paani thha, ab barf hai, ye beparvah sa khoon
