Jise mai har pal pata aur khota hu
Usko sitaaro me dhundhta hu
Aazad hone ki chahat hai magar kuchh din baad
Lo mai abhi aazad kiye deta hu
Paidayashi jiddi hu, lekin ye jidd chhor deta hu
Dhadkan chillayegi bahut jra thahro isko sula deta hu
Mujhe to uss chand se matlab tha jo mere aangan utre
Jo har ghar ki raushandan se jhanke uss chand ko kyu dekhta hu
Jo kehta hai ki tera hu magar tera ho nahi sakte
‘Dushyant’ mai aise log ka khwab kyu dekhta hu
