Aae zindagi apni dictionary se saare gum mita de,
Ab (mein) ki hai duniya saare (hum) mita de,
Insaano ka istemaal ab teji se baad raha hai,
Yeh to wo vyapar hai jo ab Raftaar pakad raha hai,
Kaun jeeta ,kaun haara yeh kaun tey karega kya pata hai,
Zindagi ban chuki hai bhedchaal isme ab koi akela na khada hai,
Soch rai hu mein ki kya karu kuch samajh nai aata,
Har admi daud raha hai ,thodi der ruk kyu nai jaata,
Yahi vidambana hai is sansaar ki jo koi samajh nai pata,
Kismat ka likha mankar hi ise hai apnata,
Samay bada balwan hai agar yahi samajh aajata,
To jeevan ke is Chakravyuh ko sab samajh lete fir kyu koi pachtata!!


