Kya kahe tumse
kaha se shuru kre
Mahaz baate hi toh btani hai..
Kuch bikhre hue kisse hai
Kuch bachpan ki nadan kahani hai..
Abhi dhalti jawani k
kuch pal tumhare sath bitane hai..
Ek takhiye k niche
dono k khawab dabane hai..
Abhi mere pyar k khat
tum tak pahuche nahi hai..
Hawao mein charche hamare hi hai..
Unn sabhi aksharo mein
dhai tumhare nahi hai..
Abhi shaame tumhare sath
bitayi nahi hai..
Abhi baadlo mein
tumhari soorat bnayi nahi hai..
Itna kafi nahi hai
Ho ske toh ruk jana..
Iss kavita Mein sari..
Khwahish btayi nahi hai..

