Wo bhi chalte hain liye maut ka samaan yaha
Hum chale aaye hatheli pe liye jaan yahan
Le ke nikla hun zara fun ki qalam haatho mein
Mil hi jayegi kabhi mujhko bhi pehchaan yahan
Yun to har baagh mein aati hain bahaare lekin
Dil ka gulshan hi sada rehta hai veeraan yahan
Usko dekha hi tha ke dil ne qayamat kar di
Kar hi daalega mujhe dil bhi pashemaan yahan
Log bhi bhool gaye mujhko to hairat kaisi
Mein hi jab dhoond na paya meri pehchaan yahan Tum kahan dhoondhne nikle ho mohabbat “danish” Husn walon se wafa ka nahi imkaan yahan