Sabhi marasim wo tod karke, Meri ana ko bhi maaf karke Mujhi ko mere khilaaf karke, Chala gaya ikhtilaaf karke

Wo baadshah hai sabhi jahan ka, nikalna mushkil hai uski zad se Kabhi jo pahuncho falak ki had tak, to dekh lena shagaaf karke

Ye dekho daane hain baaliyo mein, tarah tarah ke wo phool dekho Jo phal diye hain to wo bhi dhak kar, parat ko uska ghilaaf karke

Hai jheel dariya samundaro mein, kabhi falak se baras raha hai Zamee’n ke andar hai behta paani, pila raha hai wo saaf karke

Baghawato par tule huwe hain, Gunah gaaro mein hum hain shamil Wo apni rehmat dikha raha hai, sabhi gunaaho ko maaf karke

Mein haq ada kaise kar sakunga , teri niyamat ki koi had hai ? Bahut hi nashukr hun mein ‘danish’, mein ro pada aitraaf karke