Ho na jaaye kahin khud se saamna apna. Chupa ke rakhne laga hun mein aayina apna. Zahen mein naksh banayengi meri tehreerein Nahi milega kisiko bhi jab nishaa’n apna Humein na dekh hikaarat se baadshaahe waqt Falak ke paar hai maujood aashiya apna Nazar ki had se nikal jayegi nazar saari Bahut hi door talak hoga kaarwaan apna. Hum bhi toor ki maanind hain yahan’danish’ Bigaad kuch nahi sakti ye aandhiya apna