
मैं तो पहाड़ हूँ (Tribute to Green Poems by Gulzar Saab)
Main toh pahad hun pahad
Meri kaaya tumhare kad se kayi guna unchii hai
Par akad tumhare guroor se bhut jyada choti,
na hota main gar, toh kabka jhulas gye hote tum
Meri fitrat tak ka tum kabhi shukriya nhi krte
Shayad isiliye tum logo ke kad itne chote reh jate hain..
Rakh mere seene pe payr, fauran sar chad jate ho
samajh mujhe bejaan patthar, bas manmaani kar jate ho
Par mujhe jarurat ke waqt mei bhi kandha tk nhi de paate,
Khud tmhare rishte apas mei, kahin jyada bhari ho jate hain,
Shayad isiliye tumlogo ke kad itne chote reh jate hain
Main pahad hun, mere agosh mei beti nadi meri
Bekhauf musalsal behti hai, azaad bhi hai aur mehfooz bhi
Par tmhari aulaaden toh tmhari zid ki concrete mei jam jate hain,
Bas bada aadmi banne mei, insaan ban na reh jate hain.
Shayad isiliye tumlogo ke kad itne chote reh jate hain