Milna hai aaj unse
Soch raha hu aaj tayari kya karu?
Kuch kisso ki potli bandh li hai
Aur alag sa ab main kya karu?
Meri ghadi jaise badhne ko betab hai
Par Is dheeme waqt ka main kya karu?
Kya use bhi mujhse milne ki itni hi betabi hai?
Uff! Mere is soch ka main kya karu?
Intezar khatam hua mere theherne ka
Ab unse baato ki shuruat kaha se karu?
Uski ankho ne to baate shuru kardi thi
Ab main apni baate bayan kaise karu?


