Part 3


Aankhon mein teri ujle khwab saje hain,

Aasman se bhi oonche iraade hain.

Hawaon se tez hain teri umeedon ke par,

Jo bandishein tod, afsaane likhne chale hain.


Aur phir bhi tu wo band kitaab si hai,

Jiske har panne mein ek naya raaz basa hai.

Main har dafa socha, samet loon tujhe,

Magar har baar tu ek ankahee dastaan rahi.