Nazdeek hoke bhi door jaise,

Ek sapna jo haqeeqat sa lagta hai.

Jaise shabnam ki boondein ho hawaaon mein,

Jo mehsoos ho, par samet na sakoon.


Ek roop hai tera, jo duniya se chhupa,

Muskaan ke parde mein jo khamosh sa rehta hai.

Koi jaane na teri gehri kahani,

Hasi ke shor mein bhi tanha sa rehta hai.


Kabhi toofan si, kabhi gehraayi ka raaz si,

Kabhi anjaani, kabhi rooh ke saaz si.

Samajh na saka, tu paheli hai ya dua,

Mujhko bikherne aayi, ya mujh mein samaane lagi?