Tu koi band kitaab si hai,

Har dafa tujhe padhna chahun.

Har panne mein koi raaz chhupa,

Apni rooh mein sametna chahun.


Teri khamoshi ek shayari,

Jo har pal kuch keh rahi hai.

Lafzon ki zaroorat kahan,

Jab rooh rooh se baat kar rahi hai.


Ek raaz si hai teri har baat mein,

Jo samajh ke bhi anjaana lagta hai.

Jaise lehron mein chhupi ho gehraiyan,

Khushbu jo dikhti nahi, par mehekti hai.