Baarish ki ek boond ne
Mujhe badal bana diya
Pani ki pyaas aur aasuon ki aas
Jo na kar paye
Wo ek baarish ki
boond ne kar diya.
Kitna talasha khud ko har badalte mausam me
Aaj ehsaas karaya ek choti si boond ne.
Boond boond se bane sagar.....saagar se bane baadal.....baadalon se chhalki boond.... Maine hontho se kya lagayi.....
Mano .....
Maine badal pee liya...
Ek boond pee kar aj mai sagar ho gayi....
Mai badal...ho gayi
Mujhme prakriti sama gayi....
Kyuki...... Maine baadal pee liya.


