ghar aya der se us din wo baithi thi mere intezzar mein maine poocha usse "ma" kyu baithi ho , jaade ki sard raat mein ansuna sa kar diya usne mere un sawal ko muskura kar boli - khana kha kar aya hai tu pata hai mujhe per main baithi thi tere intezzar mein garam khana lagakar , bolti hai , sunao kuch apni baatein kuch meri suni aur kuch apni kahi sunti rahi din bhar ki meri khabarein kuch samajh mein ata usko , kuch baaton pe muskura deti achanak meri zindagi , jaise uski ban jaati kabhi thapkiyon se to kabhi sir sehla kar sulane ki jaddo jahat mein lagi rehti wo sone jati wo meri surat lankhon baar dekh kr wo neend aisi aati jaise soye na ho sadiyo se ghar aya der se aaj fir wo kursi thi khali khali to wo thali kisi ki awaaz na aayi koi baitha nahin mere intezaar mein thapkiyon ka koi ehsaas nahin sir sehlane ko koi hath nahin